Bees-baayis panno ki hai meri kahaani,
Bolta hu aaj mai apni zubaani.
Paida hua jabse lagi thi ek daud,
Bhagi see zindgi ne liya ek mod.
Diploma khatam kiya, degree hui shuru,
Job ke silsile mein khoya apna guroor.
Premika bi mili, par sambhal na sakaa,
Samaaj ki duvidha se apna na sakaa.
Zindagi chalti gayi, samay apnaa gayaa,
Par haasil kuch bi na kiya.
Kawaaishe thi, aaraam bi the,
Udd na sakey kyuki par na the.
Ghar bi yu chhoda, ki wapis na gayaa,
Chand paise ke liye dur apno se hua.
Umar badhti gyi, samay kaat taa gayaa,
Shaadi ki umar mein main kaam kartaa gayaa.
Ho gayi shaadi, ho gaye bache,
Ab har jagah hi ghar ke the charche.
Bade hue bache, ban gye kaabil,
Par abhi tak mai dhundh raha tha sahil.
Umar hui zyada, thak saa gayaa mai,
Aaram ki chahat me tham saa gayaa mai.
Ab na haath chalte, naa chalte per,
Laathi ke sahaare se zindagi chal rahi thi kher.
Waqt ab reth ki tarah fisalta gayaa,
Khatam hui zindagi, bahaaya mai gayaa.
No comments:
Post a Comment